Sai Bina Raha Na Jaaye

Lyrics

||
Mohabbat Ki Kami Dil Mein Agar Ehasaas Hota Hai
Zara Jhanko To Paaoge Ki Sai Paas Hota Hai
O...Karishma Ye Useekaa Hai, Ki, Duniya Khoob Soorat Lagati Hai
Varnaa Admi Ko Admi Kya Raas Hota Hai 

Sai Bina Raha Na Jaaye (2)
Chain Na Aaye Mohe Chain Na Aaye (Sai Bina..) 
Jabse Dekha Tujhko Sai Mere
Darsh Ke Pyaase Naina Saanjh Savere
Aa..
Jabse Hai Dekha Tujhko Sai Mere
Darsh Ke Pyaase Naina Saanjh Savere 
Mit Mar Jaayen Tujhpe Hum Se Na Ruthe Tu
Zindagi Saunp De Ham Charano Mein Tere Yun (2)
Mana Mandir Se Jao Na Sai (2)
Chain Na Aaye Mohe Chain Na Aaye 

Sai Bina Raha Na Jaaye
Tu Mera Dil Meri Dhadkan Tu Hi Hai Manzil Meri (2)
Mera Jeevan Tere Darshan Meri Sab Saansen Hai teri (3)
Tujhpe Kurba Ho Ye Jeevan (2)
Ab Tamanna Hai Ye Meri
Ab Tamanna Hai Ye Meri, Bas Tamanna Hai Meri 
Tujhepe Kurba Ho Ye Jeevan Ab Tamanna Hai Ye Meri... 

Sai Bina Raha Na Jaaye...  Aa...

IAST

Mohabbata Kī Kamī Dila Meṃ Agara Ehasāsa Hotā Hai
Jarā Jhāṅko To Pāoge Kī Sāī Pāsa Hotā Hai
O...kariśmā Ye Usekā Hai, Kī, Duniyā Khūbasūrata Lagatī Hai
Varanā Ādamī Ko Ādamī Kyā Rāsa Hotā Hai

Sāī Binā Rahā Na Jāe (2)
Caina Na Āe Mohe Caina Na Āe (Sāī Binā..)
Jabase Dekhā Tujhako Sāī Mere
Darśana Ke Pyāse Naināṃ Sāñjha Savere
Ā..
Jabase Hai Dekhā Tujhako Sāī Mere
Darśana Ke Pyāse Naināṃ Sāñjha Savere
Miṭa Mara Jāeṃ Tujhape Hama Se Na Rūṭhe Tū
Jindagī Saumpa De Hama Caraṇoṃ Meṃ Tere Yūṃ (2)
Māna Mandira Se Jāo Na Sāī (2)
Caina Na Āe Mohe Caina Na Āe

Sāī Binā Rahā Na Jāe
Tū Merā Dila Merī Dhaṛakana Tū Hī Hai Mañjila Merī (2)
Merā Jīvana Tere Darśana Merī Saba Sāṃseṃ Haiṃ terī (3)
Tujhape Kurbāna Ho Ye Jīvana (2)
Aba Tamannā Hai Ye Merī
Aba Tamannā Hai Ye Merī, Basa Tamannā Hai Merī
Tujhepe Kurbāna Ho Ye Jīvana Aba Tamannā Hai Ye Merī...

Sāī Binā Rahā Na Jāe...  Ā...

Meaning

Oh Sai, when my heart feels a lack of love, I find You ever-present within; it is Your miracle that makes the world beautiful, for without You, I find no peace. My eyes constantly thirst for Your divine sight, and I cannot live without You, for You are my heart, my destination, and my every breath.

Musical Details

Composer

Shailesh Srivastava

Ladies Pitch

5 P

Gents Pitch

1 P

Raga

Beat

Tempo

Medium Fast

Level

Advanced